17 November ko ek AMA session mein Ethereum ke founder Vitalik Buterin aur kuch dusre Ethereum foundation ke members ka Ethereum 2.0 ki launch aur iske mustakbil ke hawale se kehna tha ke Ethereum 2.0 ki launch ke hawale se koi confirmation nahin di ja sakti. Agarche is per tezi se kam jari hai lekin phir bhi kuch delay mutwakka hai. Isi AMA ke dauran is baat ka bhi pata chala hai ke Ethereum web assembly (eWASM) ke smart contract mein jo modification ki ja rahi thi woh filhaal roke di gayi hai.
Is situation ko dekhte hue yah lagta hai ke Ethereum 2.0 ki launch mein abhi time hai. Is ke ilawa koi time period to nahi bataya gay. Lekin phir bhi umeed ki ja sakti hai ke 2021 mein is roll over ko complete kar liya jaye ga. Kyonke yeh Crypto industry ke liye game changer ki ahmiyat rakhta hai.
Mukamal maloomat ke liye aap is article ko read kar sakte hain:-
https://cryptopotato.com/ethereum-founder-buterin-hints-at-more-delays-for-eth-2-0/