mjy lagta h k bhtar yhi h k yahan cryptocurrencies par hi behas ho...
Kuch naa kuch seekhny ko milta h...
Or jo platform jiss k liye bna ho us ko wese hi use karna chahye...
Koi bt buri lagi ho to mazrat...
Nahi, we can discuss anything here kion k humara koi local board ni hay jis p different topics p baat kernay k leiy different threads hoon. Hum idher hi sab such share kr saktay hein.
Insaan kitna bay bass hay k bohat sara paisay honay kay bawojood bhi, woh paisa aus kay kaam ni aaasakka, ais tarah k incidents c seekhna chayee k yeh dunyia arzi hay . Life after death should be the real destiny.


Insan ko to seekhna chahiye lakin govt ko bi seekhna chahiye,. bar bar stupidity kerti hai aur baad mei safayan paish kerti hai.. thora sa bureaucracy ko khencha hota to phr dekhtay kaisay is tarhan kai incidents hotay,..
roads nahi banwatay, bas har baar yehi rona hota hai kai traffic jaam ho gaya hai murree mei..
hotels walon nai aaaniii machai hoti hai,. in hotels ki waja sai bohat sai log sarkon par apni car mei hi so gaye ,.. commissioners aur deputy commisioners ko paisay miltay hain to wo chup ker kai bethay rehtay hain... kisi ko koi dar hi nahi.. murree aik poora maafia ban gaya hai jisay koi poochnay wala nahi