Does Wearing Gambling Signatures or Promoting Gambling Projects is Halal or Haram
I hope by sharing these Ayat and Ahadees, You guys can also solve this riddle in your hearts. And come to peace. Please if i said something wrong then it must be by mistake, so please, correct me. I am open to your thoughts.
Bahot hee ache tariqe se ap ne sab Kuch explain kia hai ek hee post mai. Jitni tareef Kii jae utni Kam hai. Wese tho Mai ne Kuch time thak es bath ko samjane ki Koshish Kii hai aur ab ye bath sooraj ki tarah Roshan how Gai hai. Ab agar Kisi ko Nazar na ae tho aankho ka masla ho sakta hai soraj ki Roshni ka inkaar nahe kia ja sakta.
Yes, we should not assist in gambling. Mutlab k humee doorson ko gambling kernay mein madad ni kerni chayee aur hum sab tu apni post mein batatay hi hein k gambling c kitna paisa loss hota hay aur humee gambling ni kerni chayee. Gambling signatures walay saray bhai ko chayee k woh apni posts mein gambling ki disadvantages batatay rahein.
Gambling signature wear kar k un k tamam rules ko follow kar k gambling k khilaf message Karna aur paisa b gambling site ki taraf se milta ho aur ye Samajna k Mai gambling ko assist nahe kar Raha ye bahot door ki bath hai. Ap ghaliban wahi purani bath kehna Cha Rahe hai k signature ka maqsad advertising nahe hai balke ap ache post karte ho es waja se paise milte hai. Eski mukammal detail apko Yaha Es Post mai mil jaege.
Signature Primary Purpose (Advertising or Gift) Jab Sirf signature Wear ka maqsad hee promoting Karna hai ab apki niyat ho ya na , ap k signature se koi gambling Mai ae ya na sab he gambling Mai madad Karne k zumre Mai aatha hai aur per baqi tho badeeh hai .
Aun duno hadees mein alcolhol c muna kia gia hay aur bitcointalk mein alcolhol c related tu bhi discussion ni hoti.
Waisay humray mulk mein sharab bohat aammm hay espcially rich people mein. New year aur hotels mein sharab easiky avaible hay aur bohat c log ais ko peetay hein. Allah sab ko ais c mafooz rakhay.
Quran aur hadees Mai ek ek cheez zikar nahe hothi balke osool zikar kiye jaathe hai aur baqi cheezo ko en par osoole fiqh ki roo se masail akhaz kiye jaathe hai. Esi waja se Islam Mai ye khoobi hai k ye har zamane Mai rahnumai karta hai. Quran aur hadees Mai bang ka zikar nahe hai magar Haram hai fiqh ki waja se . Baqi wo elk lambi behes hai. Alcohol aur Juwa ma elat mushtarak ye hai k ye dono Haram hai Quran ki qathii Nas k Sath