[
Abhi bhi Jo log haa crypto maa woh sabb chupky chupky karr rahy haa lakin issky bawajood hum 6th postion pa haa it's good, I think abhi only 5% people crypto sy wakif haa aur Sahi maano ma crypto trading karr rahy haa.
Mai Kuch bank managers ko jantha ho Jo apna extra paisa ziada tar crypto Mai use karte hai magar etne chupke se karte hai k Kisi ko b Khabar nahe hai siwae mere ya Kuch bahot he close users k. Bitcoin aur crypto awareness honi chaiye aur es k faide aur nuqsanat dono bathane chaiye tha k pehle he se risk k mutabiq invest kar sake
agr yeh crypto Pakistan ma legalized hojaya toh ik toh faida yeh hoga ky Jo bhi trading ma profit kary ga woh pkr ma change kary gaa toh country ma dollar ayaa ga Jo ky foreign reserve barhai ga as a result economy bahtr hote jaya ge but unfortunately hamary leaders ko yeh Samaj nahi araha
Wo baath belkul teek hai magar kia hamari Awam tax pay karege? India wale ab thak to Rahe hai k 30% tax bahot ziada hai aur Jo new Budget Kuch din pehle Paish Aya hai us Mai tho tax time oar na dine ko 6 month jail aur 15% Sood b Lago hoga. Ye direct thk crypto k Liye nahe hai magar inderictly crypto b es Mai AA jatha hai.
bohat saray log crypto trading mein bohat paisa lose kertay hien, tu asa bhi ho sakta hay k hum dollar mulk mein lanay ki bajayee trading mein liquidate ho k ulta dollar lose ker dein.
Yahi tho hamare Pakistanio ma masla hai, wo 2 din Mai crore pati banana chahte hai. Es Mai Jo ziada janthe hai wo future kar Rahe hai aur Jo new aathe hai wo meme coin Mai chale jaathe hai. Nateeja yahi hotha hai k 80% hamare users lose he karte hai mere Gai ka ek ne apni Zameen sale kar k future Mai lagae the SLP coin par long mar k. Us waqt SLP kaafi hype par tha aur ab per liquidate Huwa. Zameen b Kam dam ma sell ki aur crypto wala b gia .