Post
Topic
Board Other languages/locations
Merits 1 from 1 user
Re: Pakistan
by
Gladitorcomeback
on 14/02/2023, 03:54:28 UTC
⭐ Merited by MFahad (1)

Gambling ka bhi yehi haal hay, 90% log gambling sites account gambling kernay k liey hi bunatay hein aur mein ny tu gambling site p account bhi ni bunaya hua. Lekin ap ko bus apnay app ko defend krena hay k app tu bus 20% mein atay ho. App ko bhi koi shak tu ni k mein gambling site p account ni bunaya howa.
Gambling sites thi pure gambling hee hai na aur apko paise promote karne k milthe hai ab khud tho koi daleel nahe k ye sabit kare k Gambling signature wear karna haram nahe hai aur Koshish kar rahe k mere oper ye sabit kare. pehle tho al inshaAllah kar nahe sako ge q k khookhlo daleel k sath ap sirf apne dil ko hee khush karoge

Jab Islam mai sood ( sood ka lafzi maana munafa ka hai)ko haram qarar dia gia tho kaafir kehne lage k baqi karobar mai be sood hai q us mai b munafa hotha hai. Allah Pak ne unki ye aqli daleel rad kar dii k Allah Pak ne Bai(bechna aur khareedna)
ko halal aur  sood ko haram qarar dia.

Quote
Jis din app yeh bata do gay k bechara Signature kis tarah haram hogia, aus din mujee c pooch lena k bechara token kaisay haram hogia  Roll Eyes

Ye lo Yaha par apki ye khawahish poori ho chuke hai agr dum hai tho es thread mai sabit kare k signature promotion k liye nahe hai Signature Primary Purpose (Advertising or Gift)
----------------------
Hamare maashre mai baaz gunah aise ho hae k jin ko musalman gunah hee nahe samajthe aur eski sab se bari waja ye k ghair muslims en ko bare ache tariqe se paish karte hai aur usko paisa kamane ka ek aham hissa tasawar kia jatha hai. en gunaho mai sood, fazool rasoomat aur gana bajana shamil hai. mera maqsad yaha sirf gaane bajana aur dance wagira par discussion hai jis ki islam ne sakhti se mana kia aur Hadees mai tho Nabi Pak(S.A.W) ki zindagi ka maqsad b yahi bian kia gia k en aalate music ko thor doon chunanche aatha hai
Quote
وعن علي رضي اللہ عنہ أن النبی صلی اللہ علیہ وسلم قال بعثت بکسر المزامیر :  (الترغیب والترھیب)
Tarjuma

اور علی رضی اللہ عنہ سے روایت ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: مجھے بانسری بجانے کے لیے بھیجا گیا تھا  

es k elawa es par mustaqi kitabe maujud hai jis ko shauq ho thi Sabiqa Mufti Aazam Muhammad Shafi (R. A) ki kitab Islam aur Mausiqi par sakta hai. PSL k start huwa mausiqi se aur gaane bajane se halanke yahi mulk kalme ki bunyad par bna hai k yaha pat Islami qanoon ki pasdari ho gee magar hum sirf es bath par fakhar karte hai k ye 27 Ramzan ko bana hai ab hum jo b kare. Allama Iqbal ne esi music ko qaum ki halakat ka sabab bthaya hai magar na jaane hum jis taraf jaa rahe hai. Ek din marna b hai aur ek ek amal ka hisab dina hai. aur tho Mera bas chalta nahe ha esko mukammal napasand kartha ho aur jaha mauqa mile inshaAllah es ghalat kaam ki nafi kia karonga.