Twitter ne aik aur muft feature ka istemaal Paiso se mashroot kar diya
Twitter ne elaan kya hai ke anay walay dinon mein subscription service twitter blue istemaal karne walay sarfeen hi text massages ko 2 factor authentication ( 2FA) ke liye istemaal kar saken ge .
company ki janib se aik Tweet mein bataya gaya ke 20 March ke baad twitter blue ke sarfeen ko hi yeh sahoolat dastyab hogi .
2FA bunyadi tor par accounts ko mehfooz bananay mein madad faraham karne wala feature hai .
Twitter ke aam sarfeen 20 March ke baad 2Fa ko sms ke zariye istemaal nahi kar saken ge aur jin accounts ne text msg 2FA feature ko unable kya sun-hwa hai, un mein yeh service disable ho jaye gi .
Aasaan alfaaz mein yeh company ab 2fa ko bhi paisay kamanay ka zareya banana chahti hai .
2fa ko istemaal karne walay sarfeen ko account par login honay ke liye pass word ke sath sath sms, authentication app ya kisi security key ko istemaal karna parta hai .
twitter ka maanna hai ke phone number par mabni 2fa ko havkerz ki janib se istemaal kya ja sakta hai .
twitter ke maalik Elin musk ne bhi is hawalay se aik tweet mein bataya ke company ki policy ko tabdeel kya ja raha hai, kyunkay twitter ko scam sms ki wajah se har saal 6 crore dollars ka nuqsaan ho raha hai .