ORDINAL NFT ON BTC CHAIN
Es se pehle ham Nft mint karte the, buying selling karthi thi Ethereum, Polygon, Bsc, Sol network par aur Btc ko sirf as a fungible token use kia jaatha tha magar ab kuch latest technology ki waja Bitcoin blockchain mai bi ab Nft minting start hogae hai. agar Full tafseel janna chahte hai tho us k liye already thread ban chuka hai jaha ap full interesting maloomat le sakte hai.
NFTs in the Bitcoin blockchain - Ordinal Theory
Aasan lafzo mai kaha ja sakta hai k ab ap Btc Blockchain par NFt buy sell ho sakega balke start ho chuka hai. apko patha hona chaye k btc chain mai nft recieve hone k leye ap k oas ordinal wallet hona chaheye. sample BTC segwit aur batch32 wagira mai NFT nahe support hai agar ghalti se gya tho esko send karne ka tareeqa maujuda hai .
Ordinal Wallet For storing BTC NFT:
wese tho ab recent Hype kee waja se bahot saare wallets ab ordinal NFt ko support kar rahe hai magar sab se best jo muje lag raha hai wo
Ordinalwallet jo ek web hai aur es mai direct buy sell kar sakte ho aur nft b show hogee.
Es k elawa[url=https://wallet.hiro.so/] Hiro wallet aur
Xverse wallet bi ordinal NFT ko support karte hai.
How to Mint NFT?NFT mint k liye apko Ek website
Ordinal Bot par jaan hoga waha se ap ne koi be image upload karna hai aur Recieving address mai Ordinal supported wallet address dina hai. Us k bad 3 qisam k option aenge
1)
Economy Fee= 6$-12$(24 hour-72 Hour) 2)
2)
Normal Fee= 25$-40$ (1 Hour)
3)
Custom

sab option select k bad Submit and Pay invoice pe click kare tho apko ek address denge jaha par apne same utne Satoshi bejne hai jitne likha ha. oper apko order number bii dia hoga jaha se ap apna transaction aur nft confirmation track kar sakte ho
Note:1: achi NFt k liye Opensea se top nft image buy kare aur esko compress kre q k jitna size hoga utna hee fee charge hoga
2: Zarori nahe k jus wallet mai ap ko NFT recieve hoga waha se ap btc send kare balke change ho sake hai.
agr ap k pas btc nahe hai tho Binance use na kare w k waha se fee 4$ hai. es ka asan method ye hai k ap pehle busd send kare w k Binance se fee zero hai. Us k bad
https://sideshift.ai/busd/btc pe ja k convert kare tho apki fee only 1.7$ lag jaegee aur agar ap btc lightning le le tho aur b kam kag jaege.
Continue Next : Benefit, buy, sell and much more