Waisy Easypaisa, JazzCash ki baaty ho hi rahy hai toh ma abhi ik sawal arz karna chahunga ,
Woh yeh ky aksr okaat yeh JazzCash aur easypaisa waaly apko loan daity hai, jis par woh har week charge karty hai, jitna amount zyada utna weekly zyada charge hota hai.
Toh AP logo ki nazr ma yeh charges kaisy hai , Kya yeh interest ky zamray ma aaty haa ya due to currency devaluation yeh charge karty hai
Agr daikha Jai toh easypaisa ky paisy Wohi ky Wohi pary hoty hai par unko weekly USS pa profit milta rahta hai
But agr doosre taraf daikha Jai toh currency har din devalue hote hai, toh jab unho my apko Jo amount diyaa ta agr Wohi amount AP unko 2 month Baad return karty hai toh unn paiso ki inflation ki wajah sy woh value baki nahi rahti toh yeh ik qism ka unka nuksaan haa. Toh bazahir yeh ik durst laghta hai weekly charge karna.
Baki AP logo ki Kya Rai haa, agr ma ghalta hu toh mare rehnumai kary