Brother, apne Bitcoin mining k process ko bht achy trh se explain kia ha or hash rate or difficulty rate bi usi waqt brta jub Bitcoin ki demand mein izafa hota ha ku k eski mining bht sary computer pe hony lugti ha. Meri apni gut feeling ha k Bitcoin ka bullish cycle shoro ho chuka ha or Bitcoin 15k pe 2022 mein bottom out ho chuka ha or shayed ab yeh price hamein dobara dekhny ko na mily. I think Bitcoin 2023 mein hee apna new All-time-high bna sakta ha, Insha Allah. Uski technical reason toh yeh ha k kafi dino eski price 200 daily moving average se oper ha jo k ek positive sign ha dosri bri waja paradigm shift ha ku k USA mein one after another jo banks collapse ho rehe han uski waja se logo ka Fiat based monetary system pe confidence shatter ho reha ha or investors ko Bitcoin ek behter alternative nazer aata ha. Yeh market k bary mein mera point of view ha jo ghalat bi ho sakta ha esliye kisi bi asset mein investment se pehle apni bi research zarur keren.
Right Bilkul Bitcoin ki supply kam hoti ja rahi hai jabki uski demand badhti ja rahi hai, jisse keemat ko badhane ke liye kuchh sahayta mil sakti hai. MicroStrategy jaise bade-bade companies Bitcoin mein badi raqam hold kar rahi hai, yeh bazaar ke liye ek accha sanket hai aur aur bhi investors ko aakarshit kar sakta hai.
Iske alawa, increase honi wali demand aur kam hoti ja rahi supply ke mining process par bhi asar pad sakta hai. Jaise jaise hash rate mining mein zyada miners shamil hote hai, mining ke liye aur computing power ki zaroorat hoti hai jisse mining cost bhi badhta hai. Isse, miners apne transactions ko agle block mein shamil karwane ke liye competition karte hai aur is competition se fees bhi badhti hai. Or Bitcoin market hamesha badalte rehte hai aur uske keemat aur performance par kai factors asar dal sakte hai. Kisi bhi nivesh ke faisle se pehle bazaar mein hone wali khabron aur predictions ke bare mein poori information rakhi jaani chahiye