15k pe 2022 mein bottom out ho chuka ha or shayed ab yeh price hamein dobara dekhny ko na mily. I think Bitcoin 2023 mein hee apna new All-time-high bna sakta ha, Insha Allah. Uski technical reason toh yeh ha k kafi dino eski price 200 daily moving average se oper ha jo k ek positive sign ha dosri bri waja paradigm shift ha ku k USA mein one after another jo banks collapse ho rehe han uski waja se logo ka Fiat based monetary system pe confidence shatter ho reha ha or investors ko Bitcoin ek behter alternative nazer aata ha. Yeh market k bary mein mera point of view ha jo ghalat bi ho sakta ha esliye kisi bi asset mein investment se pehle apni bi research zarur keren.
Qatar ko dikh kar khushi huwee es liye k zyada thar hamare log Qatar mai naukri karte hai. List mai UAE , China aur Saudi ko nahe paya. muje personally China jaane k bahot shauq hai aur Saudia (Makkah Madina). Mere zehen mai ek swal hai k ye jo baghair Visa k country mai ja sakte hai ye Un k country k rules change hothe hai aur unki meharbani hothe hai ya hamare Pakistani Govt ye sab karte ha?
Masjide nabwi mein 4 hazaar se zayed khawateen o mard aitekaf karen ge
Es sal ramadaan ke aakhri ashray ki khaas ibadat aitekaf mein 4 hazaar 200 mard aur khawateen bathain ge . Al Arabia news ke mutabiq mangal se masjid nabwi mein Etekaf karne walo ke liye intizamaa mukammal karliye gaye hain. rawan baras ramadaan ke aakhri ashray mein 4 hazaar 200 aetekaf karne wale masjid nabwi ke maheman hon ge . Mard ke liye masjid nabwi ki maghribi Chath mukhtas ki gayi. mard Mutakifeen baab number 6 aur dakhli seeriyon aur baab number 10 ko aamad o Raft ke liye istemaal karen ge . khawateen Etekaf karne waliyo ke liye masjid Nabwi ke shumal mashriqi hissay aur dakhlay ke liye baab 24 aur 25 mukhtas kiye gaye hain .
Masjid nabwi ke omoor ki committee ki janib se jari bayan mein kaha gaya hai ke Etekaf karne walo ke liye sehri aur aftaari mein ta-aam aur mashrobat ka bandobast kya gaya hai aur tibbi sahuliyaat bhi faraham ki jayen gi . ilawa azeen Mutakifeeb ko un ki language mein deeni Droos dainay ka intizam bhi kya gaya hai taakay woh is ibadat ke ziyada se ziyada Fayooz ko batore saken .