Mai ne es thread k starter (OP) ko dikha magar us ka zikar tho ap ne kia he nahe. ap ne Apna, Sayed aur Afzal Bro ka zikar kia jin mai se koi b OP nahe hai. i think k sara credit tho usko jaatha hai jis ne ye thread start kia. muje etna ilm nahe k ye kab se start huwa aur kin logo ne start mai es mai hissa lia magar started tho Koi aur hee hai.
App ki baat kisi haad tak thiek hay k thread starter bhai "" ko bhi credit jata hy but wo kahbi idher active ni rahay. Idher hum log hi active hein aur thread ko grow kr rahay hien. Phelay yeh kaam hum log (Me, Syed bhai and Shahzad bhai0 kr rahay thay aur ab app log c umeed hay ais ko aur zada grow kerian gay.
~~~~
mehakma mosmiyat aur falkiati mahireen yeh imkaan zahir kar chuke hain ke aaj chaand nazar aana mushkil hai aur eid ulfittar haftay ko ho sakti hai.
Ab to official announcement bhe ho gai hy ka Eid Saturday ko ho ge. At least government na eik acha kaam kea hy wo ya ky time py announcemtn kr dea hy apna decision. Aisa nhi hua ka raat 12 bajya announcement ho rhi ho ka chand nazar a gya hy.
Sub bhaio ko eik aur din mil gya hy ramzan ke barkton sa faiz yaab hona ka. Bri jaldi ya mah e moqadas guzar gya. Allah Pak is mah ma hum sub ka ibadat qabool-o-manzoor krya. Ameen
Achi baat ha k kaal Rooza hoga aur friday bhi hay aur puray mulk mein holiday bhi. Umeed ha sab log roza rakhein gay aur Ramadan ky last Juma mubarak mein Allah c apny leiy aur apni country ka liey dua kerain gay. Aik aur Ramadan humarai zindagii mein aya aur kaal chala jiey gia ............