Post
Topic
Board Other languages/locations
Re: Pakistan
by
jenny56
on 21/04/2023, 18:01:45 UTC
Lailutul Jaiza ( inaam wali raat )
 Aaj wali raat jisay hum chaand raat kehte hain ki ahadees mubarikah mein bohat barri fazeelat warid hui .
jin ke ro se is raat ki jani wali duayen radd nahi hoten .
jo is raat mein ibadat kere ga uskay liye jannat wajib hojati hai .
jabkay aik hadees farmaya ke jis ne is raat ko zindah kya is tarah k is mein ibadat ki uska dil nahi murda nahi hoga is din jis din saaray dil murda hunge .
lehaza guzarish hik_h is raat ko baazaaron hujron ya doston ki mehafilon mein guzaarne ke bajaye rab ke huzoor srbsjod hokar guzaraian. aur mtzkrh baala fazail ke haqdaar banin .
Note! is raat koi khaas ibadat Shariat mein tay nahi. lehaza tilawat, dua, zikar o azkar ya fair Nafil namaz sab kiye jasaktay hain .
mumkin ho to apne bhai ko apni maqbool duaon mein zaroor yaad karen .
Shab-e-Jazah, yaani Fawaid Ata Karne Ki Raat, jo ke Eid ke do raaton mein hoti hai, usse Chand Raat kehte hain.
Pyare Nabi (S.A.W.W) ne irshaad farmaya: Jo shakhs dono Eidon ke pehle raaton mein ibadat mein khara ho kar apne Rab se umeedwar ho, uske dil ki maut hojayegi jab dusre dilon ki maut hojayegi. (Ibn Majah)
Allah humare ibadat, duaon ko qubool kare aur hum sabko apni hifazat aur hidayat se nawaze hamesha. Chand Raat Mubarak ho