Twitter Blue Tick Free Service Ends
Assalam o alikum, First time in Twitter History Celebrities without Blue tick Twitter ki free Service Khatam! Imran Khan, Shahid Afridi, aur other famous Shakhsiyat Twitter Blue Tick se Mehroom Twitter jo kh Samaaji Rabtay ki service Twitter ki muft service khatam honay ke baad Imran Khan samait digar mashhoor shakhsiyat Black Tick se mehroom ho gaye hain. Twitter account ke tasdeeq shudah honay ki alamat Black Tick ke liye Twitter ke maalik aur duniya ke ameer tareen logon mein shamil Elon Musk ne Black Tick ke liye muft service khatam karne ka ilaan karte hue fees 8$ rakhi hai.
Twitter ki muft Blue Tick service khatam honay ke baad Twitter par 19 million se zyada followers rakhnay wale PTI Chairman Imran Khan bhi Blue Tick se mehroom ho gaye hain. Jin digar mashhoor shakhsiyat ko Blue Tick se hath dhonay pare, un mein sabiq cricketer Shahid Afridi, Babar Azam, Shaheen Shah Afridi aur digar shamil hain. Mashhoor aalami shakhsiyat mein Bharat ke sabiq star cricketer Virat Kohli, Cristiano Ronaldo ke accounts se bhi Blue Tick ghayab ho gaya hai. Black Tick ke hamil aam users bhi
Elon Musk ko is faislay par tanqeed ka nishana bana rahe hain aur is silsile mein mazahiya paighamath bhi Twitter par share kiye ja rahe hain.
Baki mry khyal m Blue tick return kr dny chayee for Twitter accounts with more than 1million followers.

Elon musk be like
if followers >= 1000000:
blue_tick.enable()