Anmol Tajaweez
kisi dost ko karzzzz dainay se pehlay yeh soch len ke aap dono ko kho satke hain .
apni yad dasht par bharosa nah karen, tamam mamlaat kaghaz par tehreer kar liya karen .
jab aap ghar khareedna ya taamer karna chahtay hain to 3 ahem cheeze yaad rakhen؛ location, location, location .
kisi ko is ki mazdoori is ka kaam khatam honay se pehlay nah do .
apne jevan saathi ka intikhab ahthyat se karen kyunkay woh aap ki 90 feesad khushi ya na khushi ka zimma daar hai .
agar aap chahtay hain ke aap ka din acha guzray to der se nah soyen .
jab aap kisi dost ki car udhaar len to usay wapas karne se pehlay tail ki tanky bhar len ( aur behtar hai ke aap udhaar lainay ki aadat nah banayen ) .
mobile phone ko apni zindagi ke khobsorat lamhaat barbaad nah karne den, jaisa ke yeh phone aap ki sahoolat ke liye banaya gaya tha nah ke is ke liye jo aap ko cal ya msg karta hai .
jab aap ki walida kehti hain ke aap ko aisa karne par pachtaawa ho ga, to aap aksar pachtae ge .
bahadur bano, aur agar tum bahadur nahi ho to bahadur ban'nay ka dikhawa karo, koi bhi farq mehsoos nahi kere ga .