Herose hamesha Ali Baloch
Ali Baloch jaisa nishana baaz na pehle koi paida hua na koi aayinda paida ho ga. Faqeer Kala Khan meri Baloch Sufi thay. Angrezon ne 1870 mein jab Balochistan par hamla kya to Faqeer Kala Khan ne tasbeeh chhod kar bandook uthai. Phir muzahimat ki tareekh raqm kar daali. Mojudah Balochistan ke zila Kohlu ki tehsil Kahand ki ek pahadi par Angrez army ko chaar saal rokay rakhha, British army topoon bandookon se musallah ghera tang karti rahi mahinon ke muhasire aur sinchoron foujon ki halakat ke baad jab pahadi par qabza kya gaya to bhook se nadhal Kala Khan meri Baloch apne do saathiyan Jalami Baloch aur Raheem Ali Baloch samait pakra gaya. Muqadma chala phansi ki saza di gayi. Yeh tasveer 1891 mein phansi se pehle li gayi jis mein Kala Khan meri Baloch apne saathiyan samait pakra gaya tha.
Sawal yeh hai, hum apne heroes se la ilm kyun hain, jaan boojh kar unki tareekh qoum se kyun chhupayi gayi? (Shayad Aqa Angrez ko khush karne ke liye!) In par filmain, dramas kyun nahi bane?
Kala Khan Baloch ko phansi ke baad Kolkata jo taar bheja gaya us mein likha tha "Is jaisa nishana baaz na pehle koi paida hua na koi aayinda paida ho ga