The First Bitcoin Transaction
2010 mein, software developer Laszlo Hanyecz ne BitcoinTalk forum par aik post kiya aur kaha ke agar koi us ko 2 Papa John's pizzacc la kar dy ga to wo 10,000 Bitcoins us bande ko dy ga. Uss waqt 10,000 Bitcoins ki qemaat 40 dollar ke barabar ti. Aik user jis ka naam "Jercos" tha, ne os par jawaab diya ar credit card sey 25 dollar ki qeemat par uss ko 2 Papa John's pizza bhej diya. Yeh pehla try ta jis mein Bitcoin ko asli duniya mein currency ke taur par istemaal kiya geya tha.
Saalon baad, Laszlo Hanyecz ne 2018 mein Anderson Cooper ki CBS ke 60 Minutes programme ke mukhtalif sawalon ka jawaab detay huay tasleem kiya ke wo hi shakhs tha jo Bitcoin pizza ki kharidari ki thi. Jab os se yeh poocha gaya ke kia unhey is baat ka afsos hai to unho ne kaha: "Pizza acha tha, iss liye mujhey is baat ka afsos nahin hai." Yeh kahani Bitcoin ke fann mein mash'hoor ho gayi hai aur har saal 22 May ko cryptocurrency community "Bitcoin Pizza Day" manatay hain.