Teaching License in Europe
Europe ke aksar countries mein pistol ka license lena aasan hai lekin teaching ka license lena intehai mushkil kaam hai. Unka kehna hai ke is silah se koi aadmi sirf utne log maar sakta hai jitni goliyan uski pistol mein hain lekin ek na-ahil teacher utne log maar sakta hai jinki ginti karna bhi mumkin nahin. Hamare haan jis ko kehne job nahin milti woh teacher ban jata hai. Yaad rakhein ek na-ahil teacher bandook se zyada khatarnak hota ha
Ap ki bat tek ha ke yahn pe system tek nahe ha , Yahn per har koye teacher ban sakta hai aur har koi Pistol ka License be bna sakta ha per agr ma ap ki bat ko kat du aur ap ke knowledge mai ezafa kardun tu yaqeenn ap ko bura nahe lage ga .
Europe ma weapon ka aur teacher ka license take karna assan nahe ha .ma ap ko Europe ma linces layne ka requirements btata hun jo muje lagta ha kafi hadtak tek hoga
Weapon License:>Hifazati weapons rakhnay ki munasib waja (jaisay shikar, khail shart, waghera) dikhanay ki zaroorat.>Pichlay record ki tehkiq, jis mein criminal record aur zehni sehat ka tajziya shaamil ha.>Hifazati weapons istemaal kiarne ki training seekhna.>Country ke eligibility criteria ka mutabiq pura karnaTeaching License:>Taleem ya wo subject jis mein parhai di jae us mein university degree haasil karna>Teacher education program ya teaching certification program pura karna>Certification exams pass karna>Parhaane ka tajurba hona (kuchh countries mein zaroori hai)>language bolne ma expert hona (kuchh countries mein zaroori hai)NOTE: Europe ke har country may license layne ka requirements mukhtalif hay ye upar ma ne jo requirements btaye hai ye rough estimate hai.