Post
Topic
Board Other languages/locations
Re: Pakistan
by
jenny56
on 06/05/2023, 18:05:18 UTC
Challenges of Business and Economy in Pakistan
Agar aap Pakistan mein karobar ko barhta dekhna chahte hain toh do ghar do dukano ke ilawa bhari tax lagana chahiye lekin Land Cruiser. Karobari aadmi kabhi itni badi raqam kabhi ek gaadi par nahi lagata, woh woh 50 lakh ki gaadi le ga aur baqi sara paisa phir kisi kaam mein laga de ga. Sirf Lahore mein survey karwa ke dekhein har badi gaadi ke peeche real estate ya siyasatdan nazar aye ga.

5 saal pehle plot lia tha ek crore ka, aaj 5 crore ka ho gaya aur yeh ek bohat badi wajah thi log industry se peeche hat kar real estate mein paisa laga rahe hain. Agar aaj se das saal pehle 100 million thi, aaj 1000 honi chahiye thi lekin yahan jo thi woh band ho gayi. Jo chal rahi hain woh band hone ke paas hain, aapki production band ho chuki hai na ab tax aye ga na revenue generate ho raha hai. Truck aur train industry jo kabhi peak thi band ho chuki hain.
Ab ho kya raha hai? Ab jis bande ke paas 20-30 acre zameen hai wo industry ke chakkar mein nahi parta. Wo sochta hai yahan roz government tabdeel hoti hain, har government ki apni policy hoti hai aur wo apne investors ko hi raazi khush karte hain. Dusra, jaise hi thora bohat profit hota hai, 5 adaray peeche aa jatay hain. Un ke afsaron ko maal pani dena parta hai, afsaron ki chaplusi karni parti hai, dafaa karo.

Chup kar ke wo 30 acre ki planting karta hai, pata chalta hai 6 arab ki zameen ban gayi hai. Society banata hai, bechta hai aur jab itne paisay aa jatay hain to Pakistani system hi aap ke haath mein aa jata hai. Phir wo aaram se family Canada Australia shift karta hai aur baqi zindagi Pakistan ko sirf khabron aur TV par dekhta hai.

Kabhi kabhi un ki biwiyaan saal mein ek adha martaba Pakistan chakkar lagati hain, properties ke saalana kiraya jat wasool karti hain. Thora bohat apne ghareeb rishtay daaroon par lagati hain, apne saal bhar ke Pakistani kapray banati hain aur ye jaa... wo jaa.
Ye hai Pakistani maeshat ki androoni kahani.