Al-Qadir trust case kya hai ?
Imran Khan ko Al-Qadir University Trust ke mamlay may corruption ke ilzamat lagne per Islamabad ke aik adalat mein court appearance ke doraan giriftar kar liya gaya hai.
Ye mamla June 2022 se shuru hua tha jab naye coalition sarkar ne Khan aur unki biwi per malik Malik Riaz zameen lenay ke ilzamat lagaye gaye. National Accountability Bureau (NAB) ke mutabiq, Khan ka arrest court mein corruption ke jurm ke liye kiya gaya hai.
Khan ne in
ilzamo ka inkar kiya aur kaha hai ke ye
siyasi mansooba bandi hai. Unho ne Pakistan ki fauj aur siyasi jamaton ko apne khilaaf milnay ka ilzam lagaaya hai. Khan ne United States ko bhi apne khilaaf sazish ke iraday se milnay ka ilzam lagaya tha, lekin baad mein unho ne is ilzam se mukhalfat ki.
Kuch legal experts ne shubaat zahir kiye hain ke Khan ke arrest ne haal hi mein
amend kiye gaye qanoon ke khilaaf tha. Amendments ke mutabiq,
NAB ko mulzim ko kayi baar notice dena aur mulzim ka arrest warrant sirf us halat mein jari karna hai jab mulzim maanay se inkaar karta ho. Per abi tu yee haal hai ke khan ke case may aysaa koi raasta follow he nahe kia.
Source