Binance P2P py 1 USDT 300 Pak Rupee ko touch kr rha hy. Ya high rate rupee ke girti hue price ke wajha sa hy. Pta nhi rupee ka free fall kb rukya ga ya girta he rhya ga?
Google k mutabiq price 286 par hai jo k asal USD ka rate hai baqi jo binance mai doller ka rate hai wo es rate se 10 rupe aam tor par ziada hotha hai magar kabe kabe kuch factors ki bunyad par kam ya ziada hotha hai. kam tho kabhi nahe dikha magar ziada kaafi time dikha hai aur wo PTI k dor mai b dikha hai aur ab Pakistan Muslim League k dor mai b dikha hai.
Ziada tar price ki Up ki waja market ka down hona hai q k aise soorat hal mai har koi Usdt buy karna chahta hai tha k market mai entry le le aur esi ka hamare Pak bhai bharpoor faida othathe hai aur 4-5 rs price oper karte hai. ab Jo price oper gai hai eski waja PTI ka tor por hai jis se doller jo 290 ma almost 2 months se stable tha wo oper gia. Kher jo b hai pkr ka tho patha nahe magar etna yaqeen hai k Us doller bahot jald down ho jaega q k kaafi mulko ne ab Chinese Yuan aur dosre currencies mai trading start kar lee hai apas mai jis se Usd demand mai kaafi kami aa jaegee. Pakistan b Russia se oil Yuan mai le raha hai.