Post
Topic
Board Other languages/locations
Re: Pakistan
by
AnonBitCoiner
on 17/05/2023, 17:19:40 UTC
I don't understand aakhir aik he chez ko kitni bar ban karin ge?

We all know it's ban... aik tu hamary siyasatdan iftetah hoi hoi chezon ka bar bar iftetah karte hian aise he aik ban chez ko phir se ban kar kar pata nahi kia batana chahte hian Cheesy

Es mai hamara state bank important role play kar rha hai q k sab se ziada nuqsan crypto ki soorat mai bank ka hona hai jo roz roz ameer tar hothe jaa rahe hai es soodi nezam se. Crypto mai log invest karege tho zaahir hai k na tho bank se loan lege aur na wo bank mai paise rakhe ge jis ka asar enho ne en 2 saali mai kami ki soorat ma dikh leya hoga aur crypto ma kaafi log paisa daal rahe hai. Mai ne news pari jia ma wo keh rahe k ham ws leye esko banned kar rahe k ue fraud hai. Aik important waja ye bii hai k hanare Pakistani aksar un projects ma invest karte hai jo k belkul hee 2 number ho aur waqti taur par sirf chand week investment ma apko interest de de aur invite par acha reward de. bas per log dhara dhar paise baghair research k start karte hai aur chand months bad project k bhag jaane k bad sirf rothe ha



I think ais bar kuch zada actions lein gay yeh log. Agar aun ko time mila tu i think they will try to ban the exchanges and app like trust wallet ,metamask.

Jaisay phechlay dino facebook, twitter ban tha ya aus c phely PUBG wageria ban thi, tu yeh log ab crypto sites / app ban kr dein gay.
Zada hua tu shaid crack down bhi shorow ker dein with P2P exchangers wageria.

Bai agar Metamask aur trust wallet banned kar de tho Kiwi aur Mises browser mai extension use kia ja sakta hai wo etna big issue nahe hai. Ab thak china jo k technology mai kaafi aage hai , crypto ko band na kr saka tho ye kia khaak kuch kar lege. Rahi bath exchanges ki tho wo mumkin hai k Binance wagira kuch announcement kar de magar baghair notice k wo bii kuch nahe karege.