Post
Topic
Board Other languages/locations
Re: Pakistan
by
Gladitorcomeback
on 20/05/2023, 11:47:16 UTC
Brother, Yeh sahi k crypto ka Pakistan mein ban hona bht zayadeh effective nhi ho ga, government sirf uski access pe pabandi luga sakti ha woh bi itni effective nhi ho gi ku k access krny k or bi bht sary tareeky han. Mere khyal mein soft wallets mein funds ko rekhna bi bht zayadeh safe nhi hota uski bjai hard wallets( Ledger) mein rekhna chaye jo comparetively zayadeh secure hoty ha. Hakumat ko chaye k esko ban kerny ki bjai esy regularize ker k tax net mein lana chaye jis se hakumat ko revenue bi mily ga or country ko es emerging technology se faida uthany ka moka bi milay ga, jasa k India ne kia ha.

Jaha thak software wallet ki bath hai tho mai ap se ettefaq karta ho k ye secure nahe hai aur behter yahi hai k Hardwallet ko use kia ja sake magar ye un hazrat k liye hai jin k pas holding 1k ya us se oper ho q k ledger agar ap buy karoge tho 200$ plus mai apko wo parega jo har koi afford nahe kar sakta. Low hardware wallet mai Safepal hai jo k 50$ thak mel jatha hai magar wo ledger ka muqabla nahe kar sakta q k usko ap har jaga connect nahe kar sakte Metamask wagira k sath.

Jaha thak regulations ki bath hai tho bhai hamari awam ko ap janthe hai, parle darje ki 2 number awam hai hamari. jo b koi ghalat kam kare tho yahi kehte hai "Pakistan hai sab kuch chakta hai". government se ziada hamari awam corrupt hai. redi wale se le kar wazeer azam thak saare corrupt hai(Aksar) tho per nezam kaise chale. System tho thab teek hoga jab awam apna tax ache tariqe se de magar waha b etne 2 numberia start ho jaegee k kia bthaoo.

kal ek indian telegram Airdrop channel dikh raha tha tho waha wo 30% tax se bachne k leye p2P use kar rahe the magar un tmam logo k bank account freez kiye gae