Post
Topic
Board Other languages/locations
Re: Pakistan
by
petulino
on 25/05/2023, 15:45:11 UTC

Filhaal PTI kaa koi future nazar nai araha hai. Koi nai janta ky kaya hoga. Sheerin Mizari ka jana waqy hi my ek barra dhachka hai. Iss ky sath sath or bohat sy PTI rehnuma hen jo PTI chorny ki tayyari my hen. Fill haal kuch kaha nai jaa sakta ky kaya ho sakta hai? Lekn Current situation bata rahi hai ky PTI ka wajud khatam ho chuka hai.

Busss Allah pak ab koi esa hukmran dy jo waqy hi Mulk e Pakistan ky liye behtreen sabit ho.

Mere Bhai Pakistan mein kisi bhi awami leader ko kaam nai karny diya ja raha hai. aawam ke vote ke sath to mazaaq Kiya Jata raha hai .maujuda Nizam mein Pakistan ki Taraki aur awaam ki  falhi aur bahtry sirf khawb hi hai.PTi  Ke Sath Jo zulam ho raha hai yah Tamam siyasi jamaton ke liye Lamhe fikra Hai Un Sab Ko yah sochana chahie ke Agali bari Unki bhi a sakti hai.


Imran Khan apni Zid aur anaa ki vajah se aaj museebaton main gera howa hai.  Apne Hukumat Mein usne sirf zardari aur Nawaz Sharif Chor Hai Ki nahron ke alava koi bhi practical Kam Nahin Kiya.usko Hukumat karne ka  Samajh hi Nahin a raha tha. Aap Usman buzdaar ke CM punjab lagany se Soch sakte hain ky Imran Khan  Pakistan ko tarkki dene mein kitna serious tha.
pata nahin kitne usne Wazir e khazana  tabdeel kiye.


jab tak Tamam Syasatdan mil bait kar Ek platform per is Mulk ke liye is Mulk ke Awaaz ke liye ekhatey Nahin Honge Ham aisy hi bad se badtareen zulam sehty rahyen gy.