Post
Topic
Board Other languages/locations
Re: Pakistan
by
AnonBitCoiner
on 27/05/2023, 15:35:18 UTC

Jo young log han aur dosra mulk ma ja kr settle ho saqta hn unko koe lamha waste kea baghr move kr jana chahya. EU ya dosra mulk ma cost of living may be boht high pr wahan value of life bhe boht high hy. Pakistan ma cost of living ka to sub bol rhya hn, koe ya to batya ka cost of life kya hy yahan? Bahr females raat ko 3am bhe kaam sa akali ate hn aur safe feel krti han aur yahan? Hr jagha rishvat aur fraud chal rha hy. Agr ap apna aur bachon ka behtr future chahtya hn to behtr hy move kr jyn.

hamara maqsad yaha dunya mai sirf khana, sona aur sakoon wali zindagi nahe hai. ye tho sirf bas zrorat k tahet hai. hamara asal maqsad dunya mai Allah k deen ko dunya mai phelana hai aur us k leye ham jaha bii ho waha par mehnat karna ha. comfort wali zindagi tho europe wale kar rahe tho un mai aur ham mai farq kia raha. Eu mai jo be hayai khulam khula hai wo yaha nahe k kisi k baap ka bii pata nahe chalta. ap apni beti, behen ko gorl friend aur hoy friend bnane se mana nahe kar sakte. mukhtasar ye k mukammal begherat aur be haya banna ho tho Europe sab se best hai. Pakistan ka life standard etna sasta hai Allah k fazal se k ek ghareeb bii ache tarah guzara kar letha hai aur bhooka nahe sotha. luxury life tho har kisi ko naseeb nahe hothi aur na dunya mai aisi taqseem hai magar dosre islami azadi se mukammal acha hai. apne marzi se kisi qisam ka halal karobar, apni marzi k masjid mai jana wagira ye yaha pak mai available ha. Muje tho Pakistan (apne gao) ki mati etne pasand hai k qasam khuda ki ek crore monthly koi de thab bii Pakistan chorne ko tayar nahe.