Post
Topic
Board Other languages/locations
Re: Pakistan
by
ITExpert
on 04/06/2023, 00:40:31 UTC
Pakistan mein aam tor par ek trend hai "Committee Daalna" aur Pakistan se bahar jo log gaye hain unhone bhi wahan par bachat ka yeh tariqa apnaya hua hai. Ek tanqeed-dar shakhs ke liye yeh achi hikmat-e-amli ho sakti hai magar dhaiyon se jari is tariqe se hat kar ab kuch aur sochna chahiye. Jaise maine yeh socha ke apne kuch dostoon se bohat chhoti si raqam collect ki jaye aur ise munasib jagah par 6 mahine se ek saal ke liye invest kar diya jaye ya kisi karobari dost ke saath shareekati kar li jaye. Is tareeqe se ek shakhs ko karobar ke liye sermaye bhi mil jata hai aur apki bachat bhi mehfooz rehti hai aur is tariqe se uski growth ke bhi chances hote hain jo ke committee mein bilkul nahi ho sakte. Kuch log kehte hain ke yeh risk hai, toh main unse kehta hun ke har mahine jo raqam kisi bande ke hawale kar rahe hain woh bhi toh risk hai aur apko kisi par toh bharosa karna hi parta hai aur agar apke ass pss ke koi bande bhi qabil bharosa nahi toh apko khud ko badalne ki zarorat hai. Iske hawale se ho sakta hai ane wale dino mein mazeed shafiqat ho sake ya kaam ki samajh ajaye ya kuch naya seekhne ko mil jaye. Apki raye kya hai?