Post
Topic
Board Other languages/locations
Re: Pakistan
by
hafiztalha
on 05/06/2023, 21:42:06 UTC
Hello Everyone,

US Securities and Exchange Commission (SEC) ne Binance Holdings Ltd. aur uske CEO Changpeng Zhao ko mulzim qarar diya hai ke woh government asoolon ko tor rahi thi or karobar karne walon aur regulaqars ko gumrah karna aur securities qawaneen torne ka ilzam hai. SEC ne 136 page ke notice mein ye ilzam lagaya hai ke Binance ne amreeki mushtarkon ko khate khulne aur trading karne ke liye sahi know your customer qawaneen ko ignore kar diya. Ishtehaar mein SEC ne darkhaast ki hai ke Binance ki assets ko jamah karke receiver tayen kiya jaye. Binance ne is ilzam ke jawab mein kaha hai ke ye complaint dilchasp nahi hai aur woh apne platform ki qawi tareeqe se hifazat karne ka irada rakhte hain. SEC ne ye bhi ilzam lagaya hai ke Binance ne apne affiliated tokens ke zariye securities bechne ki sahi permission nahi li. Iske alawa Binance ko US ki regulations se bachne aur wash trading karne ka bhi ilzam hai. SEC ki karwaiyaan is baat ki dalil hain ke woh crypto space ke bare mein bade khiladiyon ko zimmedar thehrana chahte hain.
https://news.bloomberglaw.com/privacy-and-data-security/sec-sues-binance-and-ceo-zhao-for-breaking-us-securities-rules