Post
Topic
Board Other languages/locations
Re: Pakistan
by
hafiztalha
on 06/06/2023, 13:38:02 UTC
SEC Says Coinbase Made Billions of Dollars Unlawfully

Securities and Exchange Commission (SEC) ne cryptocurrency exchange Coinbase par aik lawsuit file kiya hai sirf kuch dinon ke baad jab unho ne Binance par bhi aik aisa lawsuit darj karwaya tha. SEC daawa karti hai ke Coinbase ne kabhi SEC ke saath broker ke taur par register nahin kiya aur securities market ke liye disclosure regulations se bache rehte hain. Commission ke mutabiq Coinbase ne crypto asset securities ki khareed o farokht kar ke haram billion dollars kamaye hain. SEC ke muqable mein Coinbase exchange broker aur clearing agency ke conventional functions ko combine karti hai lekin isne kisi bhi function ko SEC ke saath register nahin kiya, jo qanoon ke mutabiq zaroori hai. SEC Coinbase ko aarop lagati hai ke yeh investors ko ahem hifazat ke faide se mehroom kar rahi hai aur apne staking as a service program ke zariye ghair qanooni securities offering mein mubtala hai. SEC ki yeh consecutive karwaiyan wazeh taur par dikha rahi hain ke SEC cryptocurrency industry ke mashhoor players ke khilaf ek ek kar ke action le rahi hai.

https://watcher.guru/news/sec-says-coinbase-made-billions-of-dollars-unlawfully