Budget 2023-24 Boost for Freelancers and IT SectorIslamabad m Wafaqi government ne salana budget 2023-24 mein freelancers ke liye bari sahulat ka ilan kar diya.
Freelancers ke liye 24 hazaar dollar tak ki income tax free hogi jabke woh ek simple form par apna tax return file kar sakenge.
Naye budget ke mutabiq ITD (Income Tax Department) ke upar dastiya 2.5% riayati tax ki sahulat mazed 3 saal tak jari rahegi. IT services Provide karne wale idaray 50 hazaar dollar tak ke software aur hardware bina tax income kar sakenge.
Wazir Khazana Ishaq Dar ka kehna tha ke agle saal 50 hazaar IT graduates ko fani tarbiyat bhi di jayegi.
Is ke ilawah Ishaq Dar ne budget pesh karte hue ilan kiya ke taleem ke liye 82 arab rupay jabke sehat ke liye 26 arab rupay rakhe ja rahe hain, science aur IT ke liye 34 arab rupay aur pedawari shobhay ke liye 50 arab rupay mukhtas kiye hain
https://gnnhd.tv/news/21187/federal-budget-2023-24-it-sector-receives-sme-status-freelancers-get-tax-relief