Kuch din pehle mai ne Parvez Khattak k baare ma post keya tha k us ne new party bnaee ha aur kaafi famous ho raha, ho skata ye establishment ki ek chaal ho tha k un k apne hee bande us k under rahe. ab news ye hai k unho ne apna flag b apna lia aut social media par aa gia hai. same PTI ki tarah

Aapki baat bilkul sahi hai yah establishment ki hi chaal hai.Hamari establishment kabhi bhi yah Nahin chahti ke koi ek party do tihai aksariyat se Yahan Hukumat banae.isliye Chhoti Chhoti partiyan Banakar pir unhen seaten jitvane ke bad Har Hukumat Mein Shamil Karte Hain,aur Har Hukumat se apne Marzi ke faisle isi vajah se Karvate Hain Ke inhi Chhoti partiyon ki badaulat unko blackmail Karte Hain.Hamari establishment Apna Asal kam chor kar Hamari siyasat Mein mukmmal Taur per dakil ho chuki hai aur Kisi Na Kisi Shakal Mein Hukumat aur siyasi partiyon mein maujud hai.Hukumat Banane aur Hukumat girane ke alava siyasi partiyan Banane aur torny mein Lage hue hain.isliye to 75 sal guzarne ke bad bhi Pakistani mahishat zawal pazir hai aur log 2 Waqt Ki Roti khane ko Taras rahe hain.Hamari awam mein bhi koi shahoor Nahin Hai choti choti partiyon Ko vote dene ki bajay Kisi aik bari party ko vote dekar iqtadar Mein Lana hoga.jab tak Hamari establishment Hukumat ko siyasi numaendon ke Hawale nahin karti Pakistan kabhi bhi tarkki nahin kar sakta.Hamare zainon mein siyasi nomahinon ke khilaf zahar Bhar Diya gaya hai halanky Mere Khyal Mein siyasi Logon ki galtiyan bahut kam hai.