Assalamualaikum bahi
Bahi bat asa hai k aj Kal log jab dine ke baty apsa me karty hain to apny apny firky ke bat karty hai or apsa me larny lag party hain .
Bahi hamri neyat ye he huni chalyie k ham ny aik dosray ke sala Karni hai .
وعليكم السلام ورحمة الله وبركاته
G bhai aisa hee hai, Imam malik aur Imam abu hanifa R.A ye dono hazrat ek zamane k the aur ye ek masle par poori rat discussion karte aur kabe en k darmayan larai nahe howe. Asal mai ikhtilaf faroi masail ma hotha hai jaha par ikhtilaf hona haq b banta hai magar us waqt akhalaq k daire ko band karna chaiye aur adab k daire mai rehte huwe apna muaqaf bthana aur samjana chaiye
Ab is hadees ke taraf chalta Hun ,Bhai is hadees me Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ny itna he farmaya hai k ye kalamat par Leye jien ye nhi kaha k ye likh kar lattka leya jy or na he is hadees Sy asa kush sabati hora hai ,aur na he Hazrat Abdullah bin umer razitallah unho Sy ye lattka ny wali bat zahar horahi hai .
Ye bat Hazrat Abdullah bin umer razitallah unho k potay kah rahien hai ,hamray Nabi Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam nhi farmarahien is sy bahi sabat nhi ho Raha bahi zara gor karien hadees par .Aur dosri bat AP ll ny farmaya tha k umer razitallah unho k wasal k bad fitna shoro hojy ga .
Dekho bhai hadees teen qisam par hai shahid apko ilm ho eska.
1: Marfoo 2: Mauqoof 3: Maqtoo
Jis hadees mai Allah k nabi ka qaul, amal ho tho usko marfoo aur Ashab rasool ka qaul, amal ho tho usko Mauqoof aur Tabeii ka qaul, amal tho maqthoo kehte hai
Abdullah bin Umar R. A wo sahabi hai k sab se ziada sunnat par ammal karne wake the aur jis jaga Allah k rasool ﷺ tree aane ki waja se neeche jukte tho wafat k bad ye sahabi rasool jab us raste se guzarte tho tree na hone k bawajoof waha jukh jathe. Es k elawa ye Sahabi Fuqaha sahaba mai the aur ye ginne chunne sahaba the aur en k masail qabil hujjat hothe thee us waqt b .
ab es hadees ki taraf ae tho ye hadees moqoof hai yani Sabi Rasool Abdullah bin Umar Raziallah anhoma k amal ka zikar hai aur Sahabi ka aisa amal karna jaiz hone ki daleel hai q k agar ye agar haram hotha tho kabe b Sahabi rasool aisa kaam na karte ya dosre sahaba usko rokte ya kisi b nagwari ka izhar karte magar kisi ne es par rad nahe farmaya. Hurmat par koi daleel nahe hai , na hadees na ayat tho es ko haram kehna sahi nahe , ha behter yahi hai k dam kare aur taweez b agar koi kare apne sharait k sath tho koi qabaht nahe ..
Neez mukammal tafseel dalail k sath mulahiza farmae..
Full Tafsee Dam aur Taweez