Jab ap yaha thak aa gae k gambling compaign k saara paisa haram hai tho mere piaare Umeridrees bhai jan tho apka promoting k paise kaha se halal hogae. project ka saara base he haram , us ma kam karne wale ka paisa haram, project owners ka paisa haram magr es project k promoter ko esi amdani se paisa mile wo saaf shifaf halal. wah Umeridrees sahib wah, belkil kamal kar dethe hai.
Aik baat batien app. Let's suppose k aik bunda hy jis ka apna gambling casino ka business hy aur woh arab patii bunda hy aur aus kay pass bohat paisa hay. Aus ki sari income Gambling casino c hi ati hy.
Aus bunday ny apnay ghar mein 3 log rakay hein kaam p. Aik driver rakha hy jo aus ko har jaga lay k jata hay. Driver appna kaam bohat achay c kerta hy aur woh bunda aus ko achay paisay pay kerta hy.
Aik us gambling onwer ny saafai wali rakhi hy jo aus ka sara ghar saaf kerti hy. Woh bohat honest larki hay aur bohat mehnat c ghar ki safai kert hy.
Aur third aus ny Mali rakha hy jo aus ky ghar p jo garden hy, aus ki dekh bhaal kerta hy. Mali apna kaam bohat mehnay aur honesty c kerta hay aur koi chutti bhi ni kerta. Bohat acha insaan hy woh mali.
Ain thieno bandoo ko woh gambling casino ka onwer acha pay kerta hy. Ab sawal yeh hay k kia yeh thein log jo honest hien, mehnti hein aur gambling bhi ni kertay, kia aun ki income haram ho jiey gi ?