Sting Energy Drink Threat to Kidney Health?Asalam o alikum Everyone Gurday ke hospital SIUT mein rozana 100 se zaid cases report mein hotay hain jin ke gurday bilkul nakarah hote hain. Aap ko yeh jaan kar hairat hogi ke in mareezon mein zyada tar 22 se 30 saal ke nojawan hain. Sab mein mushtarak baat yehi hai ke unhon ne "Sting" naam ki yeh energy drink ka istemal kasrat se kiya hai, yaani kam az kam haftay mein aik martaba woh is drink ka lazmi istemal karte thay. Yeh energy drink aap ke gurdon ke liye qaatil zehar hai aur aam cold drinks se kai guna zyada nuqsaan deh hai. Shayad is wajah se France aur kai mumalik mein is par pabandi hai, jabke bohat se mumalik mein is ki tashheer par pabandi hai. Agar aap ya aap ke bachay bhi is drink ka istemal karte hain to khuda ra hosh ke nakun lein aur is zehar se sab ko bachayen.

Image Source: Facebook