Post
Topic
Board Other languages/locations
Merits 10 from 7 users
Re: Pakistan
by
Gladitorcomeback
on 01/09/2023, 10:12:25 UTC
⭐ Merited by UmerIdrees (2) ,Cheema02 (2) ,AnonBitCoiner (2) ,ZeshanRandhawa (1) ,ThemePen (1) ,Compromise me (1) ,DdmrDdmr (1)
Pakistani Qari Final mai



Wese tho yaha par Tekken aur Pubg gaming mai final pohnchne walo ka zikar  ho chuka hai magar aj something special share kar raha ho. Makkah Almukarma mai Qirat ka muqabla start hai jis mai all countries k darmayan muqabla hai aur almost 177 qari sahib apne awaz ka jadoo jagmaga rahe hau. ye muqabla Qirat ka hai aur khushkhabri ye hai k Pakistan k madrassa bait ul Salam ka ek chota qari final mai pohnch gia hai jo k 6 September ko final muqabla ho ga. Is qari ka naam azam hai aur sab se kam unar bacha hai jo aj thak final mai pohncha ho.

Winners k inamaat ki tafseel ye hai.
First position: 200k Riyal (Only 1.6 crore)
Second position: 190k Riyal (1.55crore)
Second position: 180k Riyal (1.47 crore)
Second position: 170k Riyal (1.4 crore)
Second position: 160k Riyal (1.30crore)
Source

ye inaam ka faida ye hai k es se kaafi faida ho jaega aur bacho mai quran seekhne ka jazba paida hoga aur sath sath Wakidain mai bacho par hifz, Qirat aur Ilm parane ka jazba paida hoga. Yaha par weee mai bthatha chaloo k jo kaza ilm ka hifz k sath hai wo baghair hifz k nahe q k jab b ham koi masla sabit karna chahte ya byan mai fazeelat byan karte tho Quran yad ho tho es ka apna noor hotha hai. dosra ye k etna Qirat seekhna farze ain hai k nemaz k alfaz drust ho aur ye na seekhna almost 95% Pakistan k muslamano mai hai aur es taraf rujhan kam hai.

Meri  request yaha k group members se hai k ek tho Neyat kar le k apne aulad ma se kam se kam ek bache ko Hafiz, Aalim banaoga aur dosra ye apne qirat ko sahee karne ki koshish karoga m 2-3 months b kisi qarii k sath mashq kare tho Muje umeed hai k qiraat drust ho jaegee. Full member banne mai hame 2 months lag jathe hai agar kuch time apne es Farze ain kam par laga le tho umeed hai, dunya aur aakhirat ban jaegee