Bitcoin in September 2023: What Can We Expect?
Assalamalikum to all my dear community,
Famous crypto analyst Rekt Capital ne September 2023 ke liye Bitcoin ke potential raaste ka andaza diya hai. Grayscale ke SEC ke khilaaf adalati jeet ke baad $28,000 ke upar choti si tezi ke baad Bitcoin ab $26,000 ke aas-paas stable ho gaya hai qkh ke SEC ne Bitcoin spot ETF faislay ko 45 din ke liye taal diya. Rekt Capital ke mutabiq Bitcoin shayad $27,150 ke aas-paas phir se utar sakta hai lekin yeh hosakta hai ke woh naye resistance ke roop mein aaye, phir shayad $23,000 tak girr skati han

September Bitcoin ke liye koi acha month nahi raha hai qkh yeh 6 saal se negative returns dikhata hai. September mein aksar -7% giravat ka trend raha hai, lekin Bitcoin ke August aur September mein back-to-back zor daar giravat ka taqaza kamzor lag raha hai. Analysts ka mutabiq September mein -7% ya zadya tak giravat ho sakti hai, jiski prcie approx $23k$ tak ja sakti hai. Wsy bi September mein Bitcoin spot ETF faisla nahi hone ki umeed hai agle deadlines October mein hain.
Source