Post
Topic
Board Other languages/locations
Re: Pakistan
by
HONDACD125
on 16/09/2023, 10:35:43 UTC
Petroleum prices likely to increase by Rs16 per litre
السلام علیکم و رحمتہ اللہ و برکاتہ
Abhi to party Shuru hui hy. Raat sy petroleum masnuat Ki qeemat my izafa kar Diya Gaya hy. Jis KY natijy my Petrol Ki qeemat my 16 rupyy or iss Ki nayi qeemat 321.35 rupyy ho chuki hy. Jab KY diesel Ki qeemat my 13.50 izafa kar Diya Gaya or mojuda qeemat 325.50 rupyy ho chuki hy.

Wo Jesy my upar EK Bhai kaa comment parha Tha USS ny Likha Tha. Ghareeb Tabah dy pehly hi Tabah Tha bichara ab to or BHI mat Maari gai. Or petroleum masnuat Ki qeematon my izafa sy bohat c or cheezon Ki qeematon my izafa hota hy.


Source

BAi jaan petrol ki qeemat main 16 rupay nain balkhy 26 rupey izaafa howa hai.aur diesel ki qeemat main17 rupay izafa kar diya giya hai.lihaza ab petrol ki nai qeemat 331.38 rupay ho chuki hai,aur diesl ki qeemat  329.18 rupay kar di gai hai.mery kayal main pehlibaar petrol ki qeemat diesel ko cross karny main kamyaab howi hai.is se pehly aksar diesel aagy aagy chalta tha.


150 rupey petrol jin logon ko mahenga lagata tha aur mahengai march shuru kia ta wo ab kahan mar gay hain.ghareeb admi ko to jeety ji maar rahe hain aur koi poochny wala nain.kisi ko bomb mar kar ya missile mar kar maarna bhi qatal hai aur kisi ko muhashi tor per itna zalil kia jay ke bhook se mar jay to ye bhi qatal hai.hamare hukumran hosh ke nakun len aur logon ka muhashi qatle aam band kary.


her cheez ki aik had hoti hai ,hamary hukumran her had paar kar chuky hain.inka to sub kuch free hai.petrol ,bijli,gas,medical,khana peena,gari,bachon ki fees sub free hai.inko kia pata ghareeb aadmi kahan se aur kaisy apni zaroraten poori kar raha hai.aur qaum hai ke tas se mas nain ho rahi hai.awami hakumat to hai nai sub army control kar rahi hai in ko awam ki kia perwa.ye qaum apny leadron ke leye khabi nain nekhli.liaqat ali khan se lekar nawaz shreef tak sub ke saat zulam kiya giya magar qaum nain nekli.ab bhugty aur mazeed tabahi ka intezaar kary.

source:  https://www.dawn.com/news/1775833/govt-hikes-petrol-price-by-rs26-hsd-by-rs17