Yar iske itny maal pa lanat jab woh itny paiso Mai apny paiso Ki safety Ky liya kuch behtr ikdamaat na karsaka, wasiy Jo transaction ap metamask sy karsakty ho woh same Cheez ap ledger sy bhi karsakty woh sare coins holding,NFT holding sabb apko waha available ha toh phir metamask ka risk lainy Ki Kya zaroorat, khair ab Jo hoona ta woh toh already hogaya but mujy laghta haa ab yeh hoshyaar hochuka hoga aur itne High amount Kisi small wallet like trust, metamask Mai rakhny Ki jurat Nahi kary ga.
Ap tho kaafi ghusa hogae, Bhai ab hackers b tho kuch khaega, agar ye etna safety karega tho ye hackers bechare kia khaege. ap tho unka rizq band karne par thule huwe hai. G bhai ap ki bath sahee hai, agr koi aise currency hothe jo k hardware wallet ma available na hothe tho banda keh sakta k chalo aur koi option nahe tha magar es ne shahid etna deep jaane ko behter na smja . Ha ab b agar hoshiar na ho tho per tho kia kehna.
wo ek admi tha wo keh raha tha k mai ne ek hazar ma ek bath seekhi, kisi ne poocha k konsi bath ha aur ek hazar ma kaise tho kehne laga k ma ne 1k apne side jaib ma rakhe the , kisi ne chura liye tho ma ne ye bath seekhi k side jaib apna nahe hotha. Tho es sahib ne 870k$ ma ye bath seekhi k Metamask apna nahe hotha
