Post
Topic
Board Other languages/locations
Merits 7 from 3 users
Re: Pakistan
by
ZeshanRandhawa
on 19/09/2023, 09:39:23 UTC
⭐ Merited by Cheema02 (4) ,hafiztalha (2) ,shahzadafzal (1)
Pakistan Digital Rupee Revolution

Aoa, Pakistani hukumat, State Bank of Pakistan kay saath digital currency ko introduce karney ja rahi ha. Is kadam ka maqsad physical currency ki tadad aur taqseem se judi kharchon ko kam karna hai, sath hi Pakistani rupee ki qeemat ko barhane aur mamooli maliyat se behter tariqay se financial transactions ko up krna hai. Is digital currency, Pakistani rupee ke barabar sarkari zimmedari ke sath ho gi, jese traditional currency notes hoti hain. Experton ki madad mojud hai aur Central Bank Digital Currency department digital currency ki intihai feasibility aur cost-effectiveness ka jayeza leraha hai. Govt digital currency ki taraf rujoo karne ki tawaqo kar rahi hai, jahan 80% digital aur 20% physical currency circulation mein rahe gi taake istemal mein asani ho.


Reference