baharhal ham sub ko bull season ka intezar hai.kiyonke is waqat market ki situation bari kamzor hai aur bari boring hai.koi uthar charao nazar nai aata.ye to zahiri si baat hai ke her bull season ke baad bear season aata hai aur her bear season ke baad bull season zaroor aaya hai.agar aap pechly history per nazar dalen to aap ko andaza ho ga ke her 4 saal ke bad bitcoin ki halving hoti hai.
Season aatay rehein gay, musam badlta rahay ga, kahbi bear season hoga aur kahbi bull season BUT jaisay k app ny lekha k hum sab ko bull season ka intezar hy tu ais ka mutlab hy k app ny bear season mein shopping mukamil kr li hy hy ?
Bull season ka faida unhi ko honay wala hy jo ais bear seasomn mein bitcoin buy ker lein gay, achay achay altcoins jo k sab k sab abi bohat low prices mein hein, ais mein apni investment kerian gay, tu hi woh log bull season mein apnay coins/cyptos sell kr k profit kamein gay.
Most asa hota hay k hum bear season mein shopping ni kertay, aur jab bull market full urooj p hoti hy, tab fomo mein aa k bitcoin aur altcoisn buy krtay hien aur ais kay baad market neechay ana shorow ho jati hy.
So ab bhi waqat hy, jis ka pass jitna paisa hy, sab ka bitcoin aur altcoin buy kr leky aisi aik doo month mein. Tabhi bull run ka maza ayeee ga werna kia faida k bitcoin 150,000$ p ho aur app ka pass PKR k notes pertay hon.
Ji bhai main ne kafi shoping bear season main karli hai.ab aik mazeed Dip ke intezaar main hon khe agar market main qeemten mazeed girti hain to mazeed shoping ki jay.ap ne sahi kaha ke bear season main khareedari ka faida hota hai,aur abhi khareedari ka behtareen mauqa hai.
jab main crypto market main naya naya aaya ta to mera tajarba nahin ta os waqat bitcoin 50000 hazar se ooper trade ho raha ta.main ne natajarba kari ki waja se wahan per bhi khareedari ki hai.pir girte girte 15000 tak aagaya.main ne aisy coins bhi khareede hain jin ki qeemat os waqat 32 doller ti aur aaj 4 doller per mil rahy hain.
yaqqenan tamam altcoin ki qeematen bahot gir chuki hain,yahni saada alfaz main ke is waqat sub coins bary sasty main mil rahe hain agar kisi ke pass paisa hai to kareedari kar le aur achy achy coin main investment kar le.bull season taqreeban qareeb hai.hamen bahot acha munafa mil sakta hai.Bitcoin ke elawa baqi coins main tora risk maujood hai magar munafa bhi behtareen milny ka imkan hai.
PKR ke noton ki value din ba din girti ja rahi hai.is se behter hai ke crypto main invest kiya jay,takhy koi faida to ho.