Good job bro hum zaroor suuport karenge aap ko aur q nahe karenge after all ap
ap aur hum sub essi comununity se belonge karte hai aur yeah hamara board be dusro ko nazar ayega .Per bro bat aysee ha ke aap log like umer sahab aur ap forum ke peeche buhat pake dost lag rahe hain q ke ap ne kaha ke unho ne ap ko mashwara deia ta . Per yahn per tu app log buhat serious hojaate ha hahah ya pir ye sub serf humare leye ha
bhai mera tho sab m sath yahi hal hai, ap ne shahid zain bhai k sath mera start nahe dekha tha aur bath b waha se start huwe thee. forum pe ek discussion par tanqeed karna koi bura nahe jab thak samne wale k mezaj se ap waqif ho. aur es forum ka husan b yahi hai , nahe tho apko research k liye etna bhag dor nahe karna parega. Mashwara tho hum seniors se lethe rahenge inshaAllah, aur es WC contest ko b ma ne mashwara se start kia hai. Umeridrees bhai se bathe hothe rahegee aur forum ma discussion ka matlab ye nahe k ham har waqt bas ek dosre k dushman honge, khel k bahir hamare zindagi alag hai
Acha ye missconfussion meri dur kar de ke kia pridication islam me haram ha ya nahe. Q ke agr koi pridiction de rahe ha ke aysa hoga tu es ka tu matlab ha ke osse future ke bare ma pata ha tu pir tu wo musalman nahe ho sakta q ke future ka ilam serf Allah ko ha aur dusri bat agr koi ye kehde ke ya tu aysa hoga ya nahetu kia ye gambling ma nahe ata q ke wahn per be tu aysa hota ha paise lago aur cards paynko ya tu badshan neklega ya pir wazir. Ap kia kehte hain es bare ma. Ma bs serf apna point pessh kar raha hun baqi agr koi cheez ghalat ha tu plz confirm kar ke batade.
G bhai bahot acha sawal kia ap ne. Jo future k bare ma prediction hai usko andaza kehte hai k mere khial se aisa hoga ya chance ha aisa hone ka, ye koi nahe kehta k 100% aisa hee hoga jaise ma kehta hoo tho es ma wi future wala Ilm shamil nahe. Hazrat Abu bakar Siddiq R. A ne shart lagai the room aur Faris k jang k doran aur shart jeet b lee thee. agar time mila tho wo zaroor parna, ilm ma b izafa hoga aur story b interesting hai. Tafseer Mufti Taqi Usmani aur Tafseer Zakheera tul janan ma ye waqia maujud ha.
Gambling ye nahe hai q k us ma do tarfa shart hothe hai jab k ek tarfa shart ko inaam kehte ha aur ye b inaam k zumre ma aatha hai. ye jo ham cricket ma entry karte ha per last ma kisi ko cup ya paise deye jathe ha wo b esi gambling ma aatha hai. agar clear nahe huwa tho per koshish karta ho dobara ache tariqe se smja sakoo.