Article main maujood saari achi baten to aap ne tafseel se bata di hain.baharhal ham sub ko bull season ka intezar hai.kiyonke is waqat market ki situation bari kamzor hai aur bari boring hai.koi uthar charao nazar nai aata.ye to zahiri si baat hai ke her bull season ke baad bear season aata hai aur her bear season ke baad bull season zaroor aaya hai.agar aap pechly history per nazar dalen to aap ko andaza ho ga ke her 4 saal ke bad bitcoin ki halving hoti hai.
halving ke kuch arsa baad bull season shoru ho jata hai.aur ye Artical wale ke elawa saary mahereen jo crypto ka tajarba rakhty hai wo 2024/2025 ko bull season ka saal qarar de rahy hain.aur yaqeenan ham sub ki bhi yahi tawaqa hai.
yaqeenan achey aur mazboot coins bull run main achi realy dekhaen ge.isleye log altcoins ke top aur achey coin main bhi sarmaya kari kar rahy hain.maharhal ye qawi imkan hai ke bull season aany main bahot kam waqat rehta hai.
Bro you are right ke har bearish ke bad bull run zaroor ata ha aur ye halving ke bad se start hota he aur halving ka time har 4 saal bad ata ha jaise ke worldcup ka hahaah

. Jaise halving hoti tu bs ap ne badam waghira kana or investment karna start kar daine ha q ke os ke bad jald he bull run start hoga aur han agr os se oehle karsakte ho investment aur hold kar ke ral lo tu pir tu buhat faida hoga saste ma kharedo aur mehenge damo baicho

. Lakin ek bat yahn per ma kardun ke bull or bearish ke darmyan jo time hota ha hame os ma sabr dekani hoge aur apna dil bara karna hoga.
Most os the mahreen tu ye bata rahe ha ke 2023 ke last ma halving hoge aur bull run be hoga per most of mahreen april 2024 ka bata rahe ha shaid ho be jaye per chalo daikte hain ke ab kia hota ha .
Halving ke foran baad bhi bull season shoru nahain hota ,balkhy halwing ke kuch arsa baad hi akasar start hota hai.agar hum history ko deken to taqreeban aik saal ka arsa bhi lag sakta hai.isleye jin ke pass bhi bitcoin hai ya koi aur crypto currency to os ko sabar ka muzahira karna ho ga.kiyonke maujooda situation bahot boring hai.aur aksar log yahan per panic main akar apney assets ferokht kar detey hain.
aur aisy log pir crypto ko nuqsan de kehte hain.agar main apni baat karon to main 2021 december se kareedari kar raha hon aur crypto currency ko hold kar ke rakha hai,market ke musalsal girny ki waja se mera portfolio kafi kam ho chuka hai,magar main ab nuqsan main nahin beach sakta.isleye main sabar se bull season ka intezar kar raha hon.takhey nuqsaan ki bajahy aik acha munafa hasil kar sakon.
aur dosron ko bhi yahi maswara don ga khy agar kisi ne khareedari karni hai to behtareen mauqa hai,agar koi kar chuka hai to sabar se hold kar ke rakhy.kiyonke ab bull season main waqat kam hota ja raha hai.