TV anchor person Imran Riaz Khan recovered

Lag bhag 4 maheeny pehly pakistan ke mashahoor TV anchor person imran riaz khan ko jail ke bahir se namahloom afraad ne aghwa kiya ta.jis ke baad os ka koi pata nahin chal raha ta,aur security adary aur police la ilmi ka izhaar kar rahi ti.os ke walid aur gar walon ne adalat se kahi dafa faryaad ki ke un ka baita beqassor hai magar adalat bhi bebas dekahi di.
Aj char maheeny baad os ki bazyaabi ki khabar ayee,aur is ki tasdeeq imran riaz ke wakeel mian ishfaq aur sialkot police ne kar di hai,ke wo apne gar ponch gay hain.aur IG panjab Dr usman ne bhi iski tasdeeq kar di hai.taham ye muhamla abhi tak hal talab hai ke itna arsa imran riaz khan ne kahan aur kaisy guzara.
un ke wakeel ke mutabiq imran riaz ki zehni aur jismani halat teek nain hai.wo na kisi baat ko sahi tara samaj rahy hain aur na bol rahy hain,wo intehahi zehni sadmy ka shikar hain.jahan bahot saary log koshi ka izhaar kar rahy hain wahan her koi ye sawal bhi kar raha hai ke wo itna arsa kahan rahy?bahar hal on ke gar walon per kia bheeti ho gi ye wahi janty hain.aaj un ke leye yaqeenan bahot kushi ka din ho ga,ke wo zinda salamat gar wapas ponch gay.
Source :
https://www.dawn.com/news/1777723