Wa alaikum as Salam bilkul Allah ka fazal o Karam haa
Government na achaa fasla keyaa haa MotorWay extend Karna kaa. Mera khyal sa Sialkot walo ka leya bohat asani ho jaygee q k Sialkot walo ka koi itne achi transportation nahi transport ma relaf ka hawala saa. Achaa step haa Government of Punjab walo ke taraf saa.
Waisy brother mery zahin main aik sawal aata hai,pehli baat to achi baat hai ke kisi jaga ya kisi elaqy ki taraqi ho rahi ho,kiyonke hum taraqi ki daur main apny hamsaya mumalik se bhi bahot peechy reh gay hain.baqi dunya se hamara kia muqabla.Magar kiya aik negran hakoomat aisy faisly ya taraqeyati mansooby kar sakti hai.kiyonke ye koi awami hakumat nahin hai balky technocrats ki hakumat hai.
is hakumat ka kam hai shafaf election karwana aur wo bhi 9o din ke andar andar,magar ye yahan per moterway ka mansooby bana rahy hain.iska matlab ye hai ke is negran hakoomat ka election karwany ka koi erada nahin.aap tasweer ke aik rukh ko daik rahy hain magar dosry rukh ko nazar andaz kar rahy hain.agar yahi set up chalta raha to aap ke paas motorway to hon gy,magar os per chalny keleye gariyan aur log nazar nahin ayeen ge.