Post
Topic
Board Other languages/locations
Re: Pakistan
by
HONDACD125
on 09/10/2023, 17:56:21 UTC
Assalam o alaikum
umeed hai sub bai kheriat se hongy jaisa k ap sub ko maloom hai k icc cricket world cup jaari hai ajj main ne news main dheka k pakistani sports presnter zainab abbas ko india mi kuch thread mel rahi ti aur sat india court ne on k khelaf koi 3 saal poorana case file kiya hai k is ne koi post ki twitter py india k khelaf

zainab abbas pakistani commentator hai.bari sohrat yafta hain.ye baharat main maujood ti aur world cup main inhon ne commentary karni ti.zainab abbas ne koi tweet kiye te jo ke bahot porani tweet hain ,galiban gaay (cow) ke mutahliq onki tweet ti,jis ko hindu log gao mata bolty hain.hum to gaay ka ghost bary shouq se khaty hain.

lekin india main gaay ka ghost khana mana hai.aur un tweets ki waja se zainab abbas ke khelaf india main case kiya giya.aur itna ishteyal paida kiya gaya keh un ka world cup ka contract katam karna para.aur zainab abbas ko fauri tor per baharat chorny ka kaha gaya,jis bina per wo fauri tor per india se nikal gai hain.india pata nahin kis tarah ka world cup munakid karwa raha hai,ke na pakistani journalist ko vizey de raha hai na hamari shaheqen ko de raha hai,aur dunya ko batata hai ke hum bahot jamhori hain.

baharhal india ki kam zarfi hai,aur pakistan ki nalahiqi,kiyonke wo world cup munaqid karwa raha hai,yahni do mumalik aik din ke farq se azaad howy.ab dewaar ke os taraf world cup ho raha hai,poori dunya ke log aaye hain.aur dosri taraf pakistan,yahni deewar ke is taraf dehshat gardi,aur bomb dhamaky,kudkash hamly ho rahy hain.qasoor india ka nahin balky hamary haram khoron ka hai jinhon ne pakistan ko is haal tak ponchaya hai.ke aaj her jaga pakistanion ke saat beizti wala salook ho raha hai.