Post
Topic
Board Other languages/locations
Re: Pakistan
by
HONDACD125
on 11/10/2023, 07:44:23 UTC
Pakistan Crackdown on Illegal Forex Boosts Rupee

Aoa, Pakistan mein siyah aur kala bazaar mein ghair qanooni foreign exchange trading par barqarar karwai ke natijay mein open market mein taqreeban $900 million ka ziada balance jama ho gaya hai, jo ke bankon mein jama kar diya gaya hai. Pakistani rupee ne September mein US dollar ke khilaf 6.1% se zyada ke izafa ke sath duniya bhar mein sab se behtareen currency ban gayi hai. Is crackdown ne crore dollars ko Pakistan ke markets mein wapas anay mein izafa kiya hai aur exchange companies ke zariye bheje jane walay hawalat mein 10 se 15 percent izafa ki umeed hai. Pakistan ke central bank ki reserve 28 September ko $7.6 billion ha.


Mujhy ye baat samaj nahin aai ke pakistani currency dunya bhar main behtareen currency kaisy ban gai.halanky dollar ke muqably main pakistani rupee ki value tori behter howi hai,magar isko aaty main namak ke barabar kaha ja sakta hai.kiyonky hamara rupaya dollar ke muqably main pechly 2 saal main pakistan ki tareekh, 75 saalon main itna teezi se devalue nahin howa ho ga,jitna in 2 saalon main howa hai.


agar is lehaz se dekha jay to pakistan ki currency dunya ki kamzor currency ban gai ti,jo control nahin ho rahi ti,aur billion dollar ko smuggling ke zarye yahni gair qanoni tareekon se bahir beja ja raha ta.os waqat government aur hamary idary kiya kar rahy te,hamari agensiyan kahan so rahi ti.ab kuch lac dollar pakar kar ye dekhaya ja raha hai ,ke hum ne crack down kar diya hai.aisi soratehal paida kiyon howi,arbon dollar loot kar ab kuch lac bank main jama karny se kuch bhi nahin ho ga.

is ki misaal aisi hai ke jaisy kisi ki dokan ko chowkidar lootny de,dokan ko loot kar croron ka samaan loota jay ,aur pir osko chand hazaar ka samaan baramad ker ke os dokan waly ko diya jay to os se dokandar ko kia faida mely ga.kuch bhi nahin,isleye mery khayal main ye awaam ki ankhon main dhool jhonkny ki aik koshish hai,kiyonky hamen mahloom hai ke dollar kahan se kahan per ponch gaya ta,aur is main tamam taqatwar edaron ka hath ta,aur na koi rokh taam ki koshish ki gai.balky lootny diya gaya.