Hahahah matlab ab bank me be ye kam hone lage wah bahi wah jes bank per aam log barosa kar ke apni zindage aur mehnat ki kamye daite te wo he logo ke paise kaah geyaa. Khair ye tu hona he ta yahn per muje ek proverb yad aya ke dhood ko kab tak billi se chupwo ge. Waise tu muje buhat duk huwa es ka ke banda logo ke paise lay ke bhag geya aur hamare edare sote rahe matlab kab tak hamre sath ye hota rahe ga hamari govt kab hamri zamidari utaye ge. Aur pata nahe ye log bank ma paisa q rakwate hain muje tu lagta ha ke jes bande ke pas demagh hota ha wo ek ghalti ko dubra nahe duhrata balke os se seekta ha rooz ketne scaam hote ha pir be ye log banking pe trust karte ha Bank bs ser govt employees ke leye ha jes per en ki salery ati ho es se zyada en per bhrosa nahe kar sakte aur agr etna risk layke bank ma paisa rakna he ha tu pir ach trah risk la ke invest kardo crypto kamzkm profit tu acha ayega.
Asalamualikum belkul apne sahi kaha agar apne deka hoga ky kuch month se ky bank ne ye tax lagaya ye kiya abi kuch dino pehle ek news ayi ayi ti ky bank ma 500000 lac se zeyada rakam rakna khatarnak hai. aj kal ye koi nahi dekta ha ky samne wale ny pesy kes trah kamay ha aj kal bs loot lete ha unko ye pata nahi unki kamai unki takleef unki pareshani. Aur dosri bat hamare idary in logo ky sat shamil hote ha idaro ky bahger koi kuch be nahi kar sakta ha. agar idaro ky elewa koi aisy harkat kary be wo kesi country ma be chup jaye idary pakar kar le ayenge 2 dino may. Hamari Gov itni gir chuki ha ye dua kary apni zemdariya hum par na dale hamare zemadri mushkil ha agy 30 salo ma ota ly.
Belkul bhai aj ky dor ma bank ma paisa rakna ye sara sar ghalti ha. ek ye be preshani hoti ha itna paisa ghr ma be rakna khatre se khali nahi hai 2 ya 3 tareeky ha bs kuch amount insan ghr ma rake aur kuch amount bank aur baqi insan aisy jaga investment kary jaha se usko koi faida pounche. aur apne sahi kaha bs jo salary ajay government employee ki bs har 1 ya 2 date ko nekaly aur ye sub ko pata hai bank ma paisa rakna ye bhut risky ha agar ek bar doob gye pher sary umar rota rahenge. As se behter hai insan zarort ky elewa aisy jaga invest kary jaha se usko tora kuch profit hota rahe.
Kia haal kar diya is mulk ka zalimo ne,yahni ab baat yahan tak ponch gai,ke ab bank be logon ke paisy le kar bhag rahy hain.pehly hi bary bary ohdon per baity howy tamam log is mulk se paisy le kar bhag chuky hain,na koi qanoon harkat main aaya na kisi se recovery howi ,na kisi ko saza howi,
isleye bankon ne socha ho ga ke jab qanoon aur saza hai hi nahin to pir hum bhi behti ganga main haath dho lety hain.main bank ko belkul bhi qasoorwar nahin samajta balky is mulk ke nizaam ko,is mulk ke chalany walon ko,isky ,qanoon ke rakhwalon ko,hamary security idharon ko, parliament aur Assemblion main baity howy logon ko qasoor war samajta hon,kiyonky kisi ko bhi is mulk ke qanoon se dar hi nahin hai,kiyonky qanoon sirf ghareeb ke leye hai.ameer ,aur taqatwer log qanoon ko katir main nahin laty.
pakistan main hamri jaanen mehfooz nahin hain pir paisa kahan mehfooz ho ga,ap ko kab koi nuqsaan ponchaye koi pata nahin chalta,na koi poochny wala hai aur na rokny wala hai.jab laqanoniyat arooj per ho to aap jahan bhi invest karen ge,aapko kauf ho ga,ke koi taqatwer aapka paisa zabardasti bhi le sakta hai.isleye dua karo ke Allah pak is mulk pakistan main islami qanoon ka nefaaz kary,jahan koi qanoon se baalater na ho,jahan ameer ,ghareeb dono ko qanoon ka kauf ho,jahan koi jurat na kary kisi ki jan o maal ko nuqsaan ponchany ki.