Brother yahan pakistan main logon ko mehngahi ki waja se zaroryaate zindagi poori karna mushkil ho raha hai,aik waqat ta jab sub kuch teek chal raha ta,aur hamari maheeshat teek thi,dollar ke muqably main pakistani rupaya mustahikam ta. sub kuch sasta tha,pakistani qaum ki bhi aik standard ti,log nay nay model lety te.agar baher se koi cheezen import bhi karty te to itni mehngi nahin milty ti.hamari apny mulk ki to koi production hai nahin,isleye sub kuch bahir se aata hai.
Ab maujooda waqat main infinix jaisy mobile jo 25000 hazaar main milty te wo bhi 80000 hazaar se ooper chaly gay hain, log wo bhi leny se qasir hain.aisi soorat main to middle class pakistani jo khabi iphone khareed sakta tha,ab oski ponch se bahot door chala gaya hai.dollar aur mehngahi ne achy achon ki maali position kharab kar di hai.ab hum iphone 15 pro max aue Galaxy s23 ultra ke leny ka soch bhi nahin sakty,kiyonke ye sub doller main aarahey jo ab bahot mehnga hai.bus aisi mehngi mobiles ke baary main parh hi sakty hain.
[/quote]
ap ki bat sahi hai leken main yahan ek bat add karonga k hamara mulk beshak ghareeb ho leken hamai mulkki wam belkol khareeb nahi. ap dhk lain k har roz log new cheez khareedny k chakar main kahi aisa ni dheka k agar log kisi cheez ki bycate kary aur wo sasti ho. nahi balky aur mahingy ho rahi hai