Post
Topic
Board Other languages/locations
Re: Pakistan
by
HONDACD125
on 13/10/2023, 17:10:28 UTC
Gold Prices in Pakistan Dip as New Pricing Formula Takes Effect

Pakistan mein gold ki keemat mein aik ahem kam hui jab mulk ne aik interbank-based keemat nisbat Standard standard ke sath tabdeel hone wale tareeqe par guzari, jis ka maqsad mukhtalif karboor aur aam logon ke liye zahir mushahida keemat faraham karna tha. All Sindh Sarafa Jewellers Association ke mutabiq, sone ki keemat Rs197,200/tola par pohanch gayi, jis se pehle ke qeemat se mukabla karte hue. Sone ke 10 gram ki keemat bhi Rs169,070 par gir gai. Our chandi ki prices asman se asman reh gai. Is tabdeel ke maqsad hai keemat mein ittehad paida karna, business ke aqdaar ko kam karna, aur aam logon aur karigaron ke liye zahir-o-mushahida aur mukhalis keemat faraham karna jis se aakhir mein local sone ke market mein zahir mushahida aur stability hoti hai.

Source

Asalamualikum umeed karta ho ap kheriyat se honge Pakistan ma gold ketna asan hota ha agr ap news deko kahenge ky gold ki keemat bhut kam hogai hai jab ap dek lo to 100 rupe ya 200 rupey kam hogai hongi aur jab mehnga ho jata hai to hazaro may mehnga ho jata hai ab ap khud souch ly ye sirf ek dekawa karte hai aur log khush ho jate hai ky gold asan hogya magar haqiqat ye nahi hoti hai phele 1000 mehnga karte hai pher 200 asan karte hai ab is ko gold kam karna kaha nahi jata hai balke ulta 800 already mehnga reh jata hai. ye ek bussiness ban chuka hai bs aur kuch nahi.

Agar apne deka hoga 1 month phele gold ki keemat 231000 tak pounch gya ta agr ek traf deka jaye to wo mehnga nahi ta q ky wo ek trading ky ek token ka misal hi lelo ky kuch second pump kar jata ha pher ek dam neeche gir jata hai s trah gold ne be kiya ky ek dam 231000 neeche uper gai pher ek dam gold down hogya. ye gold aj 200 ya 300 kam hogya ha kuch dino bd pher dekh loge ky gold ki price dobara high ho gya. aur dosri traf deka jaye aj ky dor ma 100 ya 200 rupe kam karne py farq nahi parhta ha ha albata gold ki price 1 lac ya 120000 tak ajaye pher koi keh sakta ha ky gold ki price kam hogai hai.

Bai aap ne bari tafseel se tajzeeya kiya hai ke gold ki qeemat kahan se kahan phoncha di hai ab 200 ya 300 rupy sasta karky logon ko dhoka de rahy hain,aur hamary log pakistani bhi bary saada hain 200 rupaya bhi kam ho jay to bary kush hoty hain.halanky aik aisa waqat tha khe her banda gold ko asani se khareed sakta tha.

Ab koi ghareeb banda gold khareedny ka soch bhi nahin sakta,kiyonky qeemat asman tak ponch chuki hai.ab ye gold lena sirf ameeron ke leye mumkin hai,jin ke paas betahasha paisa hai.aam admi to 2 waqat ki roti mushkil se kha raha hai.isi tarah her cheez main pakistaniyon ke saat mazaaq ho raha hai,cheezon ko 1000 rupy se 20000 per poncha diya jata hai pir wapas 19500 per laker kehty hain ke rate gir gay,cheez sasti ho gai,magar hamari awaam inky chakron main hamesha se aati rehti hai.is mulk ka koi qaida qanoon nahin hai,jis ki lathi os ki bainse wali baat hai.Allah pak ghareebon per rahem farmaye,gold ke bagair to zindagi guzar jaye gi,magar bunyadi zaroryat ke bagair bahot mushkil hai.