Assalam o alaikum
ajj ek news papaer main parh raha ta k pakistani wazeer a azam keh rahy hain k hum falisteeni baiyo k shana bashana karhy hain to zehen main kuch sawal paida howey k y kaisi yakjehti hai k hum sirf zaban py muzammat hi kary balky chaiye to ye ta jaisa amrica ne isreal ko suport kiya hum b kohl k suport kary apny muslim baiyo ko. ayahn per mujy hairat hoi kia hum sirf name k muslim reh gaye behad sharam ki bat hai k kal parso jo mulk afganistan amirca k changle kse azad howa wo ajj kohl k bayan dy raha hai aur hum tas se mas ni ho rahy. kia kisa ne is bary main socha hai k ek din hum se in muslim baiyo k bary main pocha jaye ga to kai jawab dengy k hum ne sirf muzammat ki ti ya kopi qaradad pesh ki ti. ni balky amli jama pehnana ho ga aur in kafir aur yahood ko lagam daalni ho gi aur tab hi mumkin ho ga jab hum main mulk o qom k lie seeny main dard paida ho ga. allah hum sub ko hedayat naseeb kar