Police arrest teachers and Students for protesting across Punjab.
police na Lahore ma 100 sa ziada log jin ma teachers bhi han unko arrest karlia hai . Faislabad ma logo na police pr pathar bi mare gujjaranwala gujjrat Bhawalpur ka teachers bhi roads pr ehtijaj ka lie nikal pre han. Is silsale mai schools ki prhai 3 roz ka lie nhi hugi jiska students pr prhai ka bht asar pre ga. Patugi mai teacher na classrooms ko tale laga diye q ka vu chahte han ju government ne teachers ki salary mai incharcement ki changes ka bare ma apna gussa dekha sake. Teachers or ustads sb ne dibti kamishner ka office ka samne ehtijaj kia ye sb teachers chahte han ke government apna ye mutalba wapis le len.
Wo mutalaba yeh hai ky, chhution aur pension rolls (serves rolls) main taramim wapas lein sarkari schoolon ko private jo kiya ja rha usky khilaf yeh protests ho rhain hain. aur retirement par unhein group insurance dain. Baki sb students ki bi study zaya hu rhi ha or sab teachers ko bhtt mushkal hu rhi hai is sab ki vaja sa. islie government ko apna ye notification wapis le lena chahiye. Ap logo ko to idea hai hi ky Pakistan ky halat kasy hain, agr in logo ny government schools ko private kr diya to gareeb ka to bacha hi padh nhi pai ga, shaed yeh hakoomat yehi chahti hai ky gareeb ko or daba diya jai, or ameer ko hi sari azaishain di jain. Ap logo ka iss bary my kya khiyal hai. Or mazay ki baat hai ky yeh qoum in teachers ky sath asa to kr hi rhi hai sath hi sath my un pr lathi bi charge kr rhi hai, hamary ilaqay ky 1 sarkari teacher ko kafi mara police ny, or pichly 3 din sy to study bi nhi ho rhi hamary ilaqay ky schools my, sirf governments schools main.
https://www.pakistantoday.com.pk/2023/10/13/protests-against-privatization-of-schools-amends-in-service-rules-spread-across-punjab/