Majority Of 9th Class student are Fail
Government School are just gutter for the student.
Kpk board just announced result of 9th class. Jis may
51% of student Fails huwey is saal.
Or Passing percentage
49%. Or private schools kay
74% pass huwey .
Agar Aisa he chlta raha to Pakistan Kabhi Taraki nahi kr sakta.
Na educated teachers hay na Advanced Books hay.
i think Government School ko private kr daina chahiyee
source Bhai apki bat belkul sahi nahi ha sarkari schools ky result kam q ate ha kabi is ka waja pata nahi kiya passing result kam aya ha is ky peeche be hazar waja ha jes ki waja se ye hoa ha hamesha haqiqat janna chahie ek to pheli bat ye ky school ma student ky liye saza maff hogai ha ye sub se bari ghalti ha hakomat ki agar student ky dilo se dar nekal gya ha agar ek teacher kesi student ko saza de deta ha to wo student ya teacher se larta ha ya report karta ha ya pher ghr se agle din apne walid ko le ata ha to batao teacher student ko kes trah parha saky.
Aur sub se bari bt ye ha ky private schools ka result s liye acha ata hai ek to teacher har student se 2000 se le kar 5000 rupe jama karte ha magar sarkari school ma aisa nahi hota ha private schools ma schools wale apne marzi ky mutabiq teachers board se duty lagwate ha sarkari ma aisa nahi hota hai aur private schools wale hamesha board ko pesy dete ha result acha ajaye magar sarkari wale aisa nahi karte pher ye to hoga ek plan ha bs ky sarakri schools ky result kam ajaye aur private ho jaye. s ka noqsan ha bhut agar ye hogya to teacher ky salalry kam ho jaynge aur kuch ko nekal be diya jayga aur pher beruzgari aur bhar jaygi.
Apne kabi deka ha ky ek baap apne bete ky peeche school aya ho ky mera beta parahai karta hai ky nahi school ata hai ky nahi pher sirf school ko bej deta ha teachers ky sat sat walidin ka be haq hota ha ky mere beta parahai q nahi karta ha aksar aisa hota hai ky student ghar se nekal jata ha magar school nahi jata mere khyal ek parents ko chahie har month ek dafa school aye ky mere bete ki kiya position ha school ata hai ky nahi study ma kamzor ha q kamzor ha tab ye system teek hoga. aur srkari schools private karne se pakistan taraki nahi kar sakta balke tabah ho jayga system.